Kuch aisa kar jaaye…

Mili hai Zindagi to kuch aisa kar jaaye,
Jeeye aisa ki waqt ko bhi peeche chhod aaye…

Har Manzil par Jeet ke Geet gaaye,
Mile jo haar fir bhi khushi se Muskuraaye…

Yaado ki ek Khubsurat Kitaab sajaaye,
Uske har panne ko padh kar,
Yaado ki duniya me kho jaaye…

Kisi apne ko paane ka yaha intezaar ho jaaye,
Na mile wo, to Khuda se uski Fariyaad rachaaye…

Dil se nikle wo do bol masti se Gungunaaye,
Khul kar naache har pal, Aur duniya ko bhi nachaaye…

Aankhon me Sapno ke gehre jhaal bichhaaye,
Banakar un Sapno ko Haqiqat, Duniya ko dikhlaaye…

Har pal is Duniya ko khul ke Hasaaye,
Marte hue sabhi ke aankhon me do boond aansu de jaaye…

Mili hai Zindagi to kuch aisa kar jaaye,
Jeeye aisa ki waqt ko bhi peeche chhod aaye…